mana ki lab-e-zakhm duhai nahin deta mahram bhi to wo dast-e-hinai hain deta ye jashn hai kaise ki mubarak na salamat aapas main koi shakhs badhai nahin deta kahte nahin sirf us ko faqat ranj-o-tab hai kuchh lutf ye be-abla-pai nahin deta naqqad ki fan-kar ka mohtat rawayya gunjaish-e-angusht-numai nahin deta aa jao ki ab bhig chalin raat ki palken wo shakhs to aata bhi dikhai nahin deta imkan ki had meri ho kar leta hun islah main apni khataon ki safai nahin deta lafzon mein rag-asar ka khun aa to gaya hai lekin ye abhi saf dikhai nahin deta ai 'taj' rifaqat na sahi dukh hai to ye hai insaf bhi ek bhai ko bhai nahin deta