mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane

mast-o-be-khud tere mai-khane ka baam-o-dar bane
saqiya gar teri chashm-e-mast ka saghar bane

hirs ke sahra mein jo jhonka chale sar sar bane
ishq ke dariya mein jo qatra gire gauhar bane

but bane kaba bana masjid bani mandar bane
ishq ki duniya mein kya kya dilruba manzar bane

dars-e-ibrat daur-e-dauran mein hai bazm-e-mai-kada
mai-kashon ki khak se kya kya khum-o-saghar bane

kya ajab is khak-dan ke hon kabhi chashm-o-charag
ja ke auj-e-asman par jo mah-o-akhtar bane

be-e-gudaz-e-ishq rang-e-husn bhi khulta nahin
ishq ke sanche mein dhal kar nur ka paikar bane

dil ke virane mein kya kya hasraten aabaad hain
rah mein sail-e-fana ki kaise kaise ghar bane

ai shah-e-kaunain dar par ghair ke jhukta nahin
tere sang-e-astan ke waste jo sar bane

phir bahaar aai chaman mein phir utha josh-e-junun
phir sar-e-shorida ki khatir nae patthar bane

fasl-e-gul hai baghban ab rukhsat-e-parwaz hai
ab to tinke aashiyan ke mere baal-o-par bane

banda-e-'nazir' bhi hazir tere mai-khwaron mein ho
ai shah-e-laulak jab tu saqi-e-kausar bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close