maston pe ungliyan na uthao bahaar mein dekho to hosh hai bhi kisi hoshyar mein kuchh mohtasib ka khauf hai kuchh shaikh ka lihaz pita hun chhup ke daman-e-abr-e-bahaar mein wo samne dhari hai surahi bhari hui donon jahan hain aaj mere ikhtiyar mein allah baat kya hai ki diwangi meri diwangi nahin nazar-e-hoshiyar mein jhuti tasalliyon se na bahlao jao jao jao ki tum nahin ho mere ikhtiyar mein hun wadi-e-hayat mein is tarah sust-e-gam jaise ho pa-shikasta koi khar-zar mein ab wo sukun-e-yas na wo iztirab-e-shauq sine mein dil hai ya koi lasha mazar mein ab khak udaiye na hamare mazar ki ab khak bhi nahin hai hamare mazar mein tanhai-e-firaq mein ummid bar-ha gum ho gai sukut ke hangama-zar mein wo andalib-e-gulshan-e-mani hun main 'hafiz' soz-e-sukhan se aag laga dun bahaar mein