majaz ain-e-haqiqat hai ba-safa ke liye buton ko dekh raha hun magar khuda ke liye asar mein ho gae kyun sat aasman hael abhi to hath uthe hi nahin dua ke liye hua bas ek hi nale mein dam fana apna ye taziyana tha umr-e-gurez-pa ke liye ilahi ek gham-e-rozgar kya kam tha ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye hamein to dawar-e-mahshar ko chhodte hi bani khata-e-ishq na kafi hui saza ke liye usi ko rah dikhata hun jo mitae mujhe main hun to nur magar chashm-e-naqsh-e-pa ke liye ye jaanta hun ki hai nisf shab magar saqi zara si chahiye ek mard-e-parsa ke liye ilahi tere karam se mile mai o mashuq ab iltija hai barasti hui ghata ke liye 'hafiz' aazim-e-kaba hua hai jaane do ab us pe rahm karo ai buto khuda ke liye