masum dil ki hasraten lafzon mein dhaal kar rakhe hain hum ne dhup mein jugnu nikal kar hai shiddat-e-talab ka mere alamiya yahi rakh de na meri pyas samundar ubaal kar chalti nahin mohabbaton mein jald-baziyan hote nahin ye faisle sikke uchhaal kar wadon ke jo khilaune thama kar gaya tha tu main ne bhi rakh diye hain kahin par sambhaal kar phir yun hua ki sabz ho utha wo regzar nikle jab un ke hath mein hum hath dal kar tujh se jirah karunga magar shart hai yahi jis ka jawab tu ho mujhe wo sawal kar ek naznin ka dil hua hai gum-shuda kahin aur hum khade hain samne jeben nikal kar