mat puchh ki is paikar-e-khush-rang mein kya hai ek ret ka tila pas-e-diwar-e-qaba hai ye khalq ibarat hai lab-e-goya ki muhtaj dekhen to faqat dagh hai bolen to sada hai aati hai sisakne ki dil-e-dasht se aawaz shayad ki rag-o-pai mein koi aabla-pa hai hai bojh tan-e-khasta ka diwar-e-nafas par goya ki mere ghar ka sutun mauj-e-hawa hai kuchh wahshat-e-izhaar lahu shakh pe lai kuchh ras gul-e-zakhm ko ye aab-o-hawa hai ab aur koi nutq-o-zaban hon to kahun kuchh is khana-e-dar-band mein kya hashr bapa hai ab ijz-e-safar ki bhi malamat hai mere sar har rah mere samne aaghosh-kusha hai phir tirgi-e-shab mein nazar aai nai shakl ab dekh ki kis khwab ka dar aankh pe wa hai takra ke siyahi se palat jati hai surat 'shahid' dil-e-aina mein diwar si kya hai