kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya raat jab tak rahe ai mere ham-nawa rakhna raushan diya raushni ka wazifa nahin wo chale rasta dekh kar wo to aazad hai misl-e-mauj-e-saba rakhna raushan diya raat kaisi bhi ho khauf ke chor ki ghat kaisi bhi ho apni ummid ka apne wishwas ka rakhna raushan diya shab ki be-ant zulmat se lad sakti hai ek nannhi si lau rah bhule huon ko hai bang-e-dara rakhna raushan diya aashna ki sada ghup-andhere mein ban jati hai raushni is shab-e-tar mein apni aawaz ka rakhna raushan diya raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai jot se jot jalti rahegi sada rakhna raushan diya mujh se 'amjad' kaha jhilmilate hue akhtar-e-sham ne us ko aana hi hai wo zarur aaega rakhna raushan diya