mat use hath lagana wo sajan aag hai aag tum use khak samajhte ho badan aag hai aag us ki hasrat mein bhale log mare jate hain kaun samjhae ki wo ghuncha-dahan aag hai aag apni tahzib ko pani ki zarurat hogi chum aaya hun lab-e-gang-o-jaman aag hai aag wo jo momin hai to mitti hi kafan hai us ka aur kafir hai to phir us ka kafan aag hai aag sare sayyare sitare bhi hain aatish-pare ye zamin aag ki hai nil-gagan aag hai aag phul khilte hain ki barud khabar bhi dena kitna shadab hai aur kitna chaman aag hai aag sard alfaz ko bakhshi hai hararat kis ne rashk-e-'khurshid' hai wo us ka sukhan aag hai aag