hain ab is fikr mein Dube hue hum

hain ab is fikr mein dube hue hum
use kaise lage rote hue hum

koi dekhe na dekhe salha-sal
hifazat se magar rakkhe hue hum

na jaane kaun si duniya mein gum hain
kisi bimar ki sunte hue hum

rahe jis ki masihai mein ab tak
usi ke chaaragar hote hue hum

giran thi sae ki maujudgi bhi
ab apne aap se sahme hue hum

kahan hain khwab mein dekhe jazire
nikal aae kidhar bahte hue hum

badhin nazdikiyan is darja khud se
ki ab us ka badal hote hue hum

rakhen kyunkar hisab ek ek pal ka
bala se roz kam hote hue hum

bahut himmat ka hai ye kaam 'shaariq'
ki sharmate nahin darte hue hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close