mata-e-did to kya jaaniye kis se ibarat hai charagh-e-khwab hi kuchh der raushan ho ghanimat hai kisi ke dar pe dastak dun to khud bahar nikalta hun khabar kya kaun se ghar tak tere gham ki riyasat hai sanwarte zawiyon mein muskuraati shakl hai meri chatakhte aainon mein bhi koi meri hi surat hai sitaron ke jilau mein aur kitni dur tak le jaen kaho to subh hone tak bhala kitni masafat hai nadamat phul se nazuk labon par barf ki sil hai aur aankhon mein kisi bite hue din ki wazahat hai mere mashal jalate hi sitara dub kar nikla main samjha hun mujhe bhi laut jaane ki ijazat hai kabhi majbur kar dena kabhi majbur ho jaana yahi tera watira hai yahi teri siyasat hai mujhe apni qasam 'sajid' main us ke kaam aaunga agar ye ilm ho jae kise meri zarurat hai