pahuncha hai us ke pas ye aaina tut ke kis se mila hai shisha-e-dil hum se phut ke husn-e-malih ka na kiya zakhmiyon ne shukr ai kirdgar nikle namak phut phut ke sar phod kar mue jo tere sang-e-dar se hum rah rah gae hasin bhi mathon ko kut ke be-nur hone par bhi wahi josh-e-girya hai aankhen hamari aur bahin phut phut ke ai rashk-e-mah raat ko mutthi na kholna mehndi ka chor hath se jae na chhut ke tadbir zahr dene ki hai paemalon ko hire lagae jate hain pannon mein boot ke dil le ke palken phir gain zulfon ki aad mein ulti phiri ye fauj sar-e-sham lut ke mauzun karenge wasf dikhao phaketiyan jaane na paen hath se mazmun chhut ke dete hain mere samne ghairon ko kharpuze bagh-e-jahan mein aap hain mushtaq phut ke kanghi se zulf uljhi to dil tukde ho gaya aaine mein ye baal pade tut tut ke raftar mein na kyun ho chamak raqs-e-naz ki zohra bhi hai sharik sitaron mein lut ke ai rashk-e-mah jo zohra-e-gardun ka bas chale tode tumhaare nach ke le jae lut ke naqd-e-hayat-o-jama-e-tan chhinti hai kyun ai maut kya karegi musafir ko lut ke ambar ke badle mushk hai mauj-e-khiram mein zulfon ke baal mil gae fite se lut ke afshan jo chhuti aap ke mathe se raat ko tare gire zamin par ai mah tut ke ro ro ke ruh jism se kahti hai waqt-e-naza ai ghar milenge dekhiye kab tujh se chhut ke mujh ko nahin pasand ye farmaish ai 'munir' kyun jhut bandhun qafiyon mein tut phut ke