mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen farishton ko bana deti hain diwane teri aankhen jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke doron mein lagi hain kakul-e-taqdir suljhane teri aankhen ishaaron se dilon ko chhed kar iqrar karti hain uthati hain bahaar-e-nau ke nazrane teri aankhen wo diwane zamam-e-lala-o-gul tham lete hain jinhen mansub kar deti hain virane teri aankhen shagufon ko shararon ka machalta rup deti hain haqiqat ko bana deti hain afsane teri aankhen