mata-e-khun-e-jigar ashk ko pila baithe asasa hath mein jitna tha sab utha baithe kisi hasin se dil ko jo hum laga baithe to apni maut ko khud aap hi bula baithe bada gunah kiya jo qubul ki dawat wo dil ko le ude aur dur ja baithe use bulane baithane ka zikr hi kya hai jo az-khud aae nigahon mein aur sama baithe hamare haal pe itna to wo karam kar de ki dil na de na sahi kuchh qarib aa baithe nafa samajh ke base the tumhaare kuche mein magar jo ganth mein tha wo bhi sab luta baithe hum un buzurg ke pairaw hain ek adna se nazar ki raushni jo tur par ganwa baithe har ek bazm mein charcha hai har zaban par zikr ye kis se majra-e-ishq hum suna baithe wo dast-e-faiz to 'rahbar' nihaal kar deta umid aap kisi aur se laga baithe