main khud hi khwab-e-ishq ki tabir ho gaya goya har ek bashar teri taswir ho gaya apne kiye ko aa ke zara dekh tir-gar tar khun-e-dil se daman-e-nakhchir ho gaya phir pesh aa gaya wahi dilchasp hadisa dil phir kisi ke dam mein taskhir ho gaya ye waz-e-ashiqan ye andaz-e-ehtiram aakhir mera khayal use dil-gir ho gaya aasudgi nasib salimuttaba hun main mujh ko gharib-khana hi kashmir ho gaya wabasta mujh se hona hai khud wajh-e-afiyat diwana tera wali-e-taqdir ho gaya tafrid khud zariya-e-jah-o-jalal hai main tera ho ke sahab-e-tauqir ho gaya to khub jaanta hai ki main kaun tha kabhi aur dekh ab ki kya falak-e-pir ho gaya hona tha hashr-e-hasrat-o-hirman agar yahi 'rahbar' zah-e-nasib ki tu pir ho gaya