mataa-e-aish jo pai to muflisi na rahi

mataa-e-aish jo pai to muflisi na rahi
tum aa gae to kisi chiz ki kami na rahi

wo lau lagi ki na aankhen rahin na dil baqi
bujhi bujhi na rahi aur lagi lagi na rahi

ye gham raha dam-e-rukhsat tumhein nahin dekha
ab aae tum ki jab aankhon mein raushni na rahi

tamam umr ye dekha karishma-e-qismat
bigad bigad ke bani aur bani bani na rahi

na aae phir wo juda jab se ho gae 'nashtar'
raha bhi kya jo mere ghar ki raushni na rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close