rahat-e-jaan tha wahi ab dushman-e-jaan ho gaya zarf-e-marham apni qismat se namak-dan ho gaya zindagi par bas nahin hai maut par qabu nahin bas inhin majburiyon ka nam insan ho gaya khun ki chhinton se wahshi ne khilae itne gul ek chaman chhota sa bar-diwar zindan ho gaya khun ka dawa to kaisa aur ulta hashr mein kat gaya main jab mera qatil pasheman ho gaya hatiye hatiye naghma-e-hasti se lau uthne lagi bachiye bachiye mere jal bujhne ka saman ho gaya zabt ki duniya dubo di ek aansu ne mere bund-bar pani badha itna ki tufan ho gaya ashk-e-khuni ne mere 'nashtar' wo kin gulkariyan mera daman ek chhota sa gulistan ho gaya