mathe par tika sandal ka ab dil ke karan rahta hai mandir mein masjid banti hai masjid mein barhaman rahta hai zarre mein suraj aur suraj mein zarre raushan rahta hai ab man mein sajan rahte hain aur sajan mein man rahta hai rut bit chuki hai barkha ki aur prit ke mare rahte hain rote hain rone walon ki aankhon mein sawan rahta hai ek aah nishani jine ki rahti thi magar jab wo bhi nahin kyun dukh ki mala japne ko ye tinka sa tan rahta hai ai mujh par hansne aur kisi ko dekhne wale ye to kaho yun kab tak jaan pe banti hai yun kab tak joban rahta hai dil tod ke jaane wale sun do aur bhi rishte baqi hain ek sans ki dori atki hai ek prem ka bandhan rahta hai