ser-shikami ka bhuk se hai milap ruh ki tishnagi sambhaaliye aap raqs-farma hui wo sim-tani be-zari ki bahaar ne di thap shahar wale hain kholta lawa gali-kuchon se uth rahi hai bhap na-muradi ke badhte silsile ko nae paimana-e-sitam se nap is ko namrud ka taqaza jaan aatish-e-husn ko na baith ke tap khamushi to ilaj-e-dard nahin baat banti nahin hai aap se aap tu bhi kah de jo tere ji mein hai sun raha hun main har anap-shanap koi aaya na gosha-e-dil tak shah-rah par suni thi panw ki chap yun hi shayad mizaj badle tera mere ashaar apne nam se chhap waqt, mausam 'nazar' nigah mein rakh kis ne tujh se kaha ye rag alap