matlab ki kah sunaun kisi baat mein laga

matlab ki kah sunaun kisi baat mein laga
rahta hun roz-o-shab mein isi ghat mein laga

mahfil mein muztarib sa ju dekha mujhe to bas
kahne kisi se kuchh wo ishaaraat mein laga

hote hi wasl kuchh khafaqan sa use hua
dhadka ye be-tarah ka mulaqat mein laga

kal raat hum se us ne to puchhi na baat bhi
ghairon ki yan talak wo mudaraat mein laga

aaya hai abr ghir ke ab aane mein saqiya
tu bhi na der mausam-e-barsat mein laga

masjid mein sar-ba-sajda hue hum to kya ki hai
kam-bakht dil to bazm-e-kharabaat mein laga

ghatte pe apne mathe ki nazan jo ab hue
ye dagh shaikh-ji ke karamat mein laga

gar mujh ko karkhana-e-taqdir mein ho dakhl
roz-e-qayam wasl ki dun raat mein laga

parwaz ta-ba-arsh agar tu ne ki to kya
sayyaad-e-marg hai teri nit ghat mein laga

waqt-e-akhir aae tere kaam jo dila
ab dhyan-gyan apna us auqat mein laga

'jurat' hamari baat pe aaya na yan tu aah
kya jaaniye kisi ki wo kis baat mein laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close