na garmi rakhe koi us se khudaya shararat se ji jis ne mera jalaya na bechain ho koi ab us ki khatir mera chahna jo na khatir mein laya baham dekh do shakhs ho wo bhi muztar akela main jis ke liye tilmilaya phire justuju mein na ab koi us ki mujhe jis ne galiyon mein barson phiraya na bhule se yaad ab kare koi us ko mera yaad karna bhi jis ne bhulaya na khush ho ab us pas baithe se koi hamein kar ke aazurda jis ne uthaya kharidar paida na ho koi us ka ki dil bech kar hum ne dukh jis se paya tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne hamein kar ke hairan na mukhda dikhaya lage lag us se kisi ki na ya-rab hamari lagi ko na jis ne bujhaya kahun dastan main gar apni aur us ki to hairan ho sun ke apna paraya ki pahle ki izhaar khud us ne ulfat na aaya to sau bar ghar se bulaya jatain wo baaten jinhen sehr kahiye dikhaya wo aalam ki wahshi banaya rakhi be-takalluf mulaqat chande ba-mannat mujhe pas pahron bithaya kisi ka na ek harf khatir mein guzra use garche logon ne kya kya padhaya so ab wo jhalak tak dikhata nahin hai gaya main jo ghar se to dar tak na aaya lagawat ye kuchh kar ke phir kya ghazab hai mera lag gaya dil to parda lagaya ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah ki ye turfa mazmun tu ne sunaya