matlab muamalat ka kuchh pa gaya hun main hans kar fareb-e-chashm-e-karam kha gaya hun main bas intiha hai chhodiye bas rahne dijiye khud apne e'timad se sharma gaya hun main saqi zara nigah mila kar to dekhna kambakht hosh mein to nahin aa gaya hun main shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap mahfil mein is khayal se phir aa gaya hun main kya ab hisab bhi tu mera lega hashr mein kya ye itab kam hai yahan aa gaya hun main main ishq hun mera bhala kya kaam dar se wo shara thi jise wahan latka gaya hun main nikla tha mai-kade se ki ab ghar chalun 'adam' ghabra ke su-e-mai-kada phir aa gaya hun main