dam ghanimat hai ki waqt-e-khush-dili milta nahin ye saman ye chain duniya mein kabhi milta nahin dekhiyo nafrat ki mera nam gar lewe koi ru-ba-ru us ke, to phir wo us se bhi milta nahin kya karun na-sazi-e-talea ka main shikwa ki aah jis ko ji chahe hai mera us ka ji milta nahin kho ke mujh ko hath se sunte ho pachhtaoge tum mano kahna bhi ki mujh sa aadmi milta nahin kis taraf jata raha kya jaane wo wahshi-mizaj dhundte phirte hain hum aur 'mushafi' milta nahin