mauj-dar-mauj wo aawaz sunai degi

mauj-dar-mauj wo aawaz sunai degi
kan gauhar hi nahin sari khudai degi

wo jasarat pe teri aag-bagula hogi
kanpte hathon mein phir dast-e-hinai degi

ye zamin dekhne mein sabz nazar aati hai
do qadam aur chalo sokhta-pai degi

aakhirash dar pe gardan mein padegi rassi
khud hi aaegi tere haq mein safai degi

bahr-e-ahmar ki hawa hai ise kyon rokte ho
nange ashjar ko malbus tilai degi

ye na samjho usi par khatm hue us ke sitam
le ke banhon mein tumhein dagh-e-judai degi

tera zindan mein rahega dam-e-akhir baqi
aaegi chandni ke rath pe rihai degi

aabida thi isi tarik gali mein dubi
subh ho jae sar-e-shakh dikhai degi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close