mauj-e-gham-e-hayat sharabor kar gai

mauj-e-gham-e-hayat sharabor kar gai
khamosh dhadkanon mein bada shor kar gai

be-khud sa ho gaya tha main raqs-o-surur mein
aur us ki ham-nawai mujhe mor kar gai

main ho ke ba-wafa bhi to ek be-wafa raha
nazron mein meri mujh ko hi wo chor kar gai

simti si ladki de gai paigham aakhirash
nazuk kalai us ki bhi kuchh zor kar gai

mujh pe hayat kaisa ye ehsan kar diya
har faisla mera tu lab-e-gor kar gai

aansu shab-e-firaq mein ruk hi nahin sake
zabt-e-sada ko meri wo kamzor kar gai

'aslam' jo dard-e-jaan tha wo jaan-e-hayat hai
nazuk ye kaam rishte ko ek dor kar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close