mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin is jahan-e-rang-o-bu mein jawedan kuchh bhi nahin phir wahi zauq-e-talluq phir wahi kar-e-junun sar mein sauda hai to aashob-e-jahan kuchh bhi nahin ek samundar kitna gahra mere pas-manzar mein hai samne lekin zamin-o-asman kuchh bhi nahin dhup ki chadar bhi mil jae to kafi hai bahut kachche-pakke mausamon ka saeban kuchh bhi nahin subh ki dahliz par sote hain ab bhi qafile waqt ke sahra mein aawaz-e-azan kuchh bhi nahin mom ho jate hain patthar narmi-e-guftar se yun to kahne ko meri tab-e-rawan kuchh bhi nahin dekhiye kab barf pighle kab chale baad-e-sahar wo to ab tak mehrban na-mehrban kuchh bhi nahin un ko shayad ab bhi patthar ke zamane yaad hain jo ye kahte hain ki phulon ki zaban kuchh bhi nahin shokhi-e-taqrir-e-'nami' se ghalat-fahmi na ho sach to ye hai mere us ke darmiyan kuchh bhi nahin