mana ki zindagi se hamein kuchh mila bhi hai is zindagi ko hum ne bahut kuchh diya bhi hai mahsus ho raha hai ki tanha nahin hun main shayad kahin qarib koi dusra bhi hai qatil ne kis safai se dhoi hai aastin us ko khabar nahin ki lahu bolta bhi hai gharqab kar diya tha hamein na-khudaon ne wo to kaho ki ek hamara khuda bhi hai ho to rahi hai koshish-e-araish-e-chaman lekin chaman gharib mein ab kuchh raha bhi hai ai qafile ke logo zara jagte raho sunte hain qafile mein koi rahnuma bhi hai hum phir bhi apne chehre na dekhen to kya ilaj aankhen bhi hain charagh bhi hai aaina bhi hai 'iqbaal' shukr bhejo ki tum dida-war nahin dida-waron ko aaj koi puchhta bhi hai