mauj-e-hawa to ab ke ajab kaam kar gai

mauj-e-hawa to ab ke ajab kaam kar gai
udte hue parindon ke par bhi katar gai

aankhen kahin dimagh kahin dast o pa kahin
raston ki bhid-bhad mein duniya bikhar gai

kuchh log dhup pite hain sahil pe let kar
tufan tak agar kabhi is ki khabar gai

nikle kabhi na ghar se magar is ke bawajud
apni tamam umr safar mein guzar gai

dekha unhen to dekhne se ji nahin bhara
aur aankh hai ki kitne hi khwabon se bhar gai

jaane hawa ne kan mein chupke se kya kaha
kuchh to hai kyun pahad se naddi utar gai

suraj samajh saka na ise umr bhar 'nizam'
tahrir ret par to hawa chhod kar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close