mana ki tu sawar hai aur main piyaada hun mujh se hazar na kar ki shanasa-e-jada hun baatin mein sakht kafir-o-pur-pech o tah-ba-tah zahir mein ek ham-safar-e-sahal-o-sada hun ek shahr-e-zar-nigar hai aqlim-e-sharq mein us shahr-e-zar-nigar ka main shahzada hun wa hain daricha-ha-e-khirad meri ruh par kis ne kaha kharab-e-kharabaat-o-baada hun ai khizr! qutb-e-waqt ki ta-chand justuju mera murid ho ki qawi-ul-irada hon main ham-rah-e-shamim na udta saba ke sath? uftad to yahi hai ki barg-e-fatada hun tir-afganon ki saf hai udhar aur main idhar sina-sipar 'rais' ba-qalb-e-kushada hun