mauj lahrae bhanwar ghume hawa gae ghazal

mauj lahrae bhanwar ghume hawa gae ghazal
har ada mein ek naya andaz dikhlae ghazal

aariz-o-lab gesu-o-qad tak kahan mahdud hai
zindagi ka mani-o-matlab bhi samjhae ghazal

tira-o-tarik rahon mein kabhi rakhe charagh
aur kabhi rangin aanchal ban ke lahrae ghazal

zulf ki thandi moattar chhanw mein ban jae khwab
chilchilati dhup mein tap kar nikhar aae ghazal

naghmagi jharne ki thandak chandni ki dil ka nur
ek jaan ho jae jab gundh kar to kahlae ghazal

raat ki tanhaiyon mein jab udasi gher le
ek aansu ban ke chupke se tapak jae ghazal

yaad ke be-rang lamhe hont jab sine lagen
ru-ba-ru 'zahra' koi aa kar suna jae ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close