maujib-e-rang-e-chaman khun-e-shahidan nikla maut ki jeb se bhi zist ka saman nikla thokaren khai hain utni ki ab apne dil se shauq-e-awargi-e-dasht-o-bayaban nikla hum bahut khush the ki jag utthi hai apni qismat aane wala kisi hamsae ka mehman nikla hai ajab baat ki jis raste pe hum chal nikle ghum phir kar wo sar-e-kucha-e-jaanan nikla be-hisi ne jo kabhi fursat-e-gham di hum ko ek sailab-e-nahufta tah-e-mizhgan nikla chaaragar khatra-e-jaan kahte the jis ko 'basir' wahi gham bais-e-aram-e-rag-e-jaan nikla