maujud hain kitne hi tujh se bhi hasin kar ke jhutla diya aankhon ko main dil pe yaqin kar ke jis chashm se rindon mein hu-haq hai usi ne to zahid ko bhi rakkha hai mehrab-nashin kar ke kya us ki latafat ka ahwal bayan kijiye jo dil pe hua zahir aankhon ko nahin kar ke kuchh kam tha bala-e-jaan pe chehra ki upar se aankhen bhi bana lae ghaarat-gar-e-din kar ke aaine ke aage se ab uth bhi chuko sahab kya kijiyega khud ko itna bhi hasin kar ke sau dagh hain sine mein wo dagh-e-judai bhi dekho to zara hoga un mein hi kahin kar ke is dil ka to naqsha hi duniya ne badal dala kuchh yaad hai rahta tha wo bhi to yahin kar ke 'jawed' wahan tak to mushkil hai koi pahunche mangwaiye qasid bhi jibril-e-amin kar ke