hijr hun pura hijr hun ishq visal kare dil ki dhadkan tal ho jism dhamal kare dekhun us ki chandni chand se bhi shaffaf aur sunahri raushni apna jamal kare gandum jaise rang par kali chadar tan giton jaisi zindagi be-sur-tal kare manzar se jo dur hain un par kare nigah dhyan se pahle dekhna wahi kamal kare us ka ek pal dekhna, us par darud salam hijr bhari jo zindagi ain visal kare apna mujh ko rup de, apna aashiq ho jo bhi us ka haal hai mera haal kare sare sawal aasan hain mushkil ek jawab hum bhi ek jawab hain koi sawal kare