maujud jo nahin wahi dekha bana hua aankhon mein ek sarab hai dariya bana hua ek aur shakhs bhi hai mere nam ka yahan ek aur shakhs hai mere jaisa bana hua samjha rahe ho mujh ko mera irtiqa magar dekha nahin hai aadmi pahla bana hua ai inhimak-e-chashm zara ye mujhe bata chaaron taraf zamin pe hai kya bana hua karne laga hai tanz mere nisf aks par mujh mein jo ek shakhs hai pura bana hua pahle kisi ki aankh ne pagal kiya mujhe ab hun kisi nazar ka tamasha bana hua khulti nahin hain tujh pe hi uryaniyan teri 'asim' tera libas hai achchha bana hua