khuda se use mang kar dekhte hain phir apni dua ka asar dekhte hain hamin hain musafir hamin aabla-pa tamasha ai gard-e-safar dekhte hain faqiri faqiri faqiri faqiri na jannat na duniya na ghar dekhte hain idhar aa ai husn-e-tamanna idhar aa nazar bhar tujhe ek nazar dekhte hain kisi aks mein ab wo bandhenge mujh ko chura kar nazar shishagar dekhte hain na jaane kahan mit gae naqsh-e-jaan chalo aaj phir soch kar dekhte hain hamare hi ghar se nikalta hai aksar jise log sham-o-sahar dekhte hain kada imtihan chaak par tha nazar ka abhi tak wo raqs-e-hunar dekhte hain