maujud jo tha madum samajh mein aaya ek ulta hi mafhum samajh mein aaya main jab ped se gir ke zamin ki khak hua tab ek aalam-e-mauhum samajh mein aaya main hi main hun aankh uthti hai jidhar bhi ab na-malum bhi malum samajh mein aaya ulte mantar hi shayad main padhta hun jo zahir tha madum samajh mein aaya zist ko main ek aab-e-rawan kahta hun 'tur' kya tum ko ye mafhum samajh mein aaya