maujudgi ka uski yahan etiraf kar

maujudgi ka us ki yahan e'tiraf kar
ai kaba-e-jahan mere dil ka tawaf kar

kab tak fusun mein mausam-e-yaksaniyat rahe
ai raij-ul-jahan naya inkishaf kar

is talkhi-e-hayat ke lamhon ka har qusur
main ne muaf kar diya tu bhi muaf kar

parda pada hai shahr ki jab aankh aankh par
tera bhi haq hai sach se mere ikhtilaf kar

main sach hun aur samne tere khada hun main
karna hai meri zat se ab inhiraf kar

main khud pe odhta hun tere pyar ki rida
tu khud pe meri chah ka ujla ghilaf kar

le ek ek shakhs mera ham-zaban hai
ja ek ek shakhs ko mere khilaf kar

tab aks aks ujla nazar aaega tujhe
tu aaina-e-dil pe jami gard saf kar

ban kar shua-e-shisha-e-manshur dil pe pad
rangon ka ek jahan liye inetaf kar

chadar tamazaton ki liye din ke dil mein chal
tanhaiyon ko shab ke jigar mein lihaf kar

is mohr-band ishq ko tu bhi hawa laga
'tahir-adim' tu bhi koi iktishaf kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close