mausam-e-gul aa gaya phir dasht-paimai rahe ai junun lazim hai shaghl-e-abla-pai rahe lakh mizrab-e-alam ki kar-farmai rahe ai rabab-e-isq phir bhi naghma-pairai rahe dekhna hai soz-o-saz-e-mausam-e-gul ki bahaar imtizaj-e-shoala-o-shabnam ki ranai rahe aa saka lab tak kisi ke bhi na harf-e-muddaa hum tamannai rahe wo bhi tamannai rahe hum bhi dikhlaen jahan ko dil ke daghon ki bahaar aap ki hasil agar hum ko masihai rahe justuju-e-yar mein paya na koi dam qarar nikhat-e-gul ki tarah aalam mein harjai rahe raunaq-e-dair-o-haram ka 'qadri' kya puchhna raushni ek shama ki do ghar mein jab chhai rahe