pani shajar pe phul bana dekhta raha aur dasht mein babul bana dekhta raha ayyam ke ghubar se nikla to der tak main raston ko dhul bana dekhta raha tu bazuon mein bhar ke gulabon ko so rahi main bhi khizan ka phul bana dekhta raha konpal se ek lab se faramosh ho ke main kis guftugu mein tul bana dekhta raha baada-kashon ke khun se chhalakta tha mai-kada khamiyaza-e-malul bana dekhta raha pichhle khandar se agle khandar tak tha intizar main aatma ki bhul bana dekhta raha nam-o-numud haft-jihat saunp kar mujhe suraj dhanak mein dhul bana dekhta raha tha sabza-e-kashida darakhton ke darmiyan na-qabil-e-qubul bana dekhta raha tajsim-e-nau-ba-nau ka karishma tha aur hi main apna sa usul bana dekhta raha lauh-o-qalam ki khair-segali ke waste shiraaza-e-nuzul bana dekhta raha bante hi mit gaya tha khabar hi na ho saki main naqsh ko fuzul bana dekhta raha chutki se badh ke tha na hajam phir bhi main 'nawed' aameze mein hulul bana dekhta raha