mausam-e-gul aaya hai yaro kuchh meri tadbir karo

mausam-e-gul aaya hai yaro kuchh meri tadbir karo
yani saya-e-sarw-o-gul mein ab mujh ko zanjir karo

pesh-e-saayat kya jae hai haq hai meri taraf so hai
main to chup baitha hun yaksu gar koi taqrir karo

kan laga rahta hai ghair us shokh kaman abru ke bahut
is to gunah-e-azim pe yaro nak mein us ki tir karo

pher diye hain dil logon ke malik ne kuchh meri taraf
tum bhi tuk ai aah-o-nala qalbon mein tasir karo

aage hi aazurda hain hum dil hain shikasta hamare sab
harf-e-ranjish bich mein la kar aur na ab dil-gir karo

sher kiye mauzun to aise jin se khush hain sahib-e-dil
rowen kudhen jo yaad karen ab aisa tum kuchh 'mir' karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close