tha jo sher-e-rast sarw-e-bostan-e-rekhta ab wahi hai lala-e-zard-e-khizan-e-rekhta aage kachhwe ki kaman ke qadr kya us ki rahi thi farid-abaadi apni go kaman-e-rekhta khushk karte hain jo fikr-e-khushk se apna dimagh jaante hain us ko maghz-e-ustukhwan-e-rekhta pech de de lafz o mani ko banate hain kulaft aur wo phir us pe rakhte hain guman-e-rekhta fahm mein itna nahin aata ba-hukme-e-ra-e-past is bulandi se ghati jati hai shan-e-rekhta khwan-e-yaghma ban ke pahuncha har kas-o-na-kas ke hath nitta-e-sultan jo tha makhsus khwan-e-rekhta hai rag-e-abr-e-bahaari hath mein mere qalam rashk-e-jannat jis se hai ye gulistan-e-rekhta farsi ab ho gai hai nang us ke waste farsi ka nang tha jaise quran-e-rekhta chand tare ka dupatta mein diya us ko bana warna is zinat se kab tha aasman-e-rekhta rafta rafta hae us ka aur aalam ho gaya nazm se apni gira nazm-e-bayan-e-rekhta jab se mani-bandi ka charcha hua ai 'mushafi' khalte mein jata raha husn-e-zaban-e-rekhta