mausam-e-gul bhi mere ghar aaya jaane wala na palat kar aaya aaj yun dil ne bahae aansu aankh se ashk na bahar aaya lut gai zabt ki basti aakhir teri yaadon ka jo lashkar aaya aankh ab teri judai pe khuli hosh mein tujh ko ganwa kar aaya ek hi naqsh mein the naqsh tamam samne phir na wo manzar aaya dhup mein us ki mohabbat ka khayal abr jaise mere sar par aaya kale dariya to kiye kitne ubur rah mein ab ke samundar aaya kaun karta meri rahen dushwar aade aaya to muqaddar aaya us ne phenka tha agar phul 'rashid' phir ye kis samt se patthar aaya