mausam-e-gul mein kam-nazar chunte rahe hain Khaar kya

mausam-e-gul mein kam-nazar chunte rahe hain khar kya
hath hai kya lahu lahu daman-e-tar-tar kya

kar-e-gah-hayat mein jo hai sanam-tarash hai
aise sanam-kade mein ho shaikh ka eatibar kya

kham ye sar-e-niyaz hai aur bhi mashq-e-naz ho
khunin ho jis ki aastin us ko sitam mein aar kya

dete rahe the hum unhen pas-e-wafa ka wasta
itni si baat thi magar guzri hai nagawar kya

mana ki aastin mein lat-o-hubal chhupe hue
phir bhi saf-e-namaz mein shaikh hai ba-waqar kya

jaane qusur kya hua saqi ne kyon utha diya
baith ke mai-kade mein hum pite the mustaar kya

tair-e-par-burida ho 'manzar' agar qafas-nasib
us ki nazar mein kya khizan us ke liye bahaar kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close