mausam-e-gul par khizan ka zor chal jata hai kyun har hasin manzar bahut jaldi badal jata hai kyun yun andhere mein dikha kar raushni ki ek jhalak meri mutthi se har ek jugnu nikal jata hai kyun raushni ka ek musafir thak ke ghar aata hai jab to andhera mere suraj ko nigal jata hai kyun tere lafzon ki tapish se kyun sulag uthti hai jaan sard-mehri se bhi teri dil ye jal jata hai kyun ab ke jab lautega wo to fasla rakkhenge hum ye irada us ke aate hi badal jata hai kyun dur hai suraj 'alina' phir bhi us ki dhup se barf ki chadar mein lipta tan pighal jata hai kyun