jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae har samt un ka jalwa ayan tha jidhar gae is tarah wo nigah-e-karam aaj kar gae dil ko surur-e-baada-e-ulfat se bhar gae wo hum ko apne dil ke hi andar nihan mila jis ki talash karte hue dar-ba-dar gae kuchh ahl-e-zarf dekhte hain us ke nur ko mahrum didiyon ko bahut dida-war gae dil le gaya hamein phir usi bewafa ke pas jaana nahin tha hum ko jahan hum magar gae wo aa gae to jal uthe ummid ke charagh wo hans diye to bazm mein moti bikhar gae aankhon mein ashk-e-gham liye hum waqt-e-alwida nazron se un ke sath ta-hadd-e-nazar gae dekha hamein to garam-nigahi pighal gai mizhgan ke tir bhaun ki kaman se utar gae un ke mazid wadon pe kaise yaqin ho ab tak jo wada kar ke barabar makr gae ye aur aur baat phir gaya pani ummid par hum un ki bazm mein kisi ummid par gae phir us ko purshish-e-gham-e-ulfat se faeda ghut ghut ke jis ke sine mein arman mar gae ai 'mauj' meri kashti-e-ulfat wahin rahi tufan mere chaaron taraf se guzar gae