mausam-e-hijr mein zakhmon se lada rahta hai dil wo paudha ke jo patjhad mein hara rahta hai bas ye ek baat mujhe lati hai nazdik tere tu bhi to meri tarah khud se khafa rahta hai tabsira itna hi kafi hai mohabbat ke liye mukhtasar saude mein nuqsan bada rahta hai hum se behtar hai muqaddar mein siyah patthar jo ban ke surma teri palkon se laga rahta hai kya qasida tere rukhsar ke til ka yun samajh ek nagina hai anguthi mein jada rahta hai dar-o-diwar sisakte hai kami par teri ghar mein khamoshi ka ek shor bapa rahta hai us ki aankhen hai ya aabaad kuen hai 'afi' aab-e-gham jin mein musalsal hi bhara rahta hai