hansna aah-o-fughan se sikha hai ye hunar bhi jahan se sikha hai har khushi se nazar chura lena ek ajab mehrban se sikha hai daud se khud ko yun alag rakhna manzil-e-be-nishan se sikha hai sab se kahna khushi ke aansu hain ye bharam aastan se sikha hai aise khud ko aziyyaten dena tu ne 'farrukh' kahan se sikha hai