mausam ka aah-o-nala se andaza kijiye taza hawa pe band na darwaza kijiye ya chhediye na manzar-e-nadidani ka zikr ya misl-e-aftab baham ghaza kijiye ya lab pe laiye na pareshaniyon ki baat ya jama baith kar kabhi shiraaza kijiye bahlaen dil ko khwab-e-khush-aind se na kyun kya faeda ki zakhm-e-kuhan taza kijiye is daur mein ki chehre hi 'anjum' hue hain maskh kya khatt-o-khal se tere andaza kijiye