nahin nam-o-nishan sae ka lekin yar baithe hain uge shayad zamin se khud-ba-khud diwar baithe hain sawar-e-kashti-e-amwaj-e-dil hain aur ghafil hain samajhte hain ki hum dariya-e-gham ke par baithe hain ujad aisi na thi duniya abhi kal tak ye aalam tha yahan do-chaar baithe hain wahan do-chaar baithe hain phir aati hai isi sahra se aawaz-e-jaras mujh ko jahan majnun se diwane bhi himmat haar baithe hain samajhte ho jinhen tum sang-e-mil ai qafile walo sar-e-rah khastgan-e-hasrat-raftar baithe hain ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke na tum be-kar baithe ho na hum be-kar baithe hain tumhein 'anjum' koi us se tawaqqo ho to ho warna yahan to aadmi ki shakl se be-zar baithe hain