mausam ka haal aankh ki khidki bataegi din dhal gaya hai sham ki surkhi bataegi murjha gae jo shakh-e-ajal par khile gulab ras ud gaya hai sans ki titli bataegi aankhon pe e'tibar na kar fasla to dekh dariya ke par kya hai ye kashti bataegi diwar par shabih banaengi ungliyan kam raushni fareb ko panchhi bataegi la-hasili ki san pe azalon ke majare sadiyon ki dastan bhi chutki bataegi apni hansi ko haal ka paimana kijiye jitni khushi hai nap ke utni bataegi