kyun yaad ye sab qaht ke asbab na aae jab hum ne dua ki thi ki sailab na aae hum ko to utarna hai samundar ki tahon mein hath aae ki ab gauhar-e-nayab na aae tadbir ke mehwar pe raha mein yunhi raqsan tabir ke markaz pe mere khwab na aae bahar jo uthe shor to khidki se na jhanko aankhon pe tumhaari kahin tezab na aae elan kiya udti hui khak ne har samt manzar pe koi khitta-e-shadab na aae main ne jo kaha tukhm-e-wafa hain mere aansu kahne lage mitti mein unhen dab na aae nikle hain sar-e-sham liye mashal-e-fan hum nazdik koi kaghzi mahtab na aae